Featured post

Real secularism

ये  पेड़  ये  पत्ते  ये  शाखें  भी  परेशान  हो  जाएं !                  अगर  परिंदे  भी  हिन्दू  और  मुस्लमान  हो  जाएं..... सूखे  मेवे  भ...

Saturday, 8 July 2017

Ghalib vs Iqbal vs Faraz vs Me

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin.
(Mirza Ghalib)

Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin.
(Allama Iqbal)

Kaafir ke dil se aya hoon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin.
(Ahmad Faraz)

Uskay dil mae b maujood hai khuda agar ye wo janta
Tou 'kaafir' ke naam se koun usay pehchaanta
😊

:By Me

apnī miTTī hī pe chalne kā salīqa sīkho, sañg-e-marmar pe chaloge to phisal jāoge

apne markaz se agar duur nikal jāoge
ḳhwāb ho jāoge afsānoñ meñ Dhal jāoge
ab to chehroñ ke ḳhad-o-ḳhāl bhī pahle se nahīñ
kis ko maalūm thā tum itne badal jāoge
apne parcham kā kahīñ rañg bhulā mat denā
surḳh shoaloñ se jo kheloge to jal jāoge
de rahe haiñ tumheñ to log rifāqat kā fareb
un kī tārīḳh paḌhoge to dahal jāoge
apnī miTTī hī pe chalne kā salīqa sīkho
sañg-e-marmar pe chaloge to phisal jāoge
ḳhwāb-gāhoñ se nikalte hue Darte kyuuñ ho
dhuup itnī to nahīñ hai ki pighal jāoge
tez qadmoñ se chalo aur tasādum se bacho
bheeḌ meñ sust chaloge to kuchal jāoge
ham-safar DhūñDo na rahbar kā sahārā chāho
Thokareñ khāoge to ḳhud hī sambhal jāoge
tum ho ik zinda-e-jāved rivāyat ke charāġh
tum koī shaam kā sūraj ho ki Dhal jāoge
subah-e-sādiq mujhe matlūb hai kis se māñgūñ
tum to bhole ho charāġhoñ se bahal jāoge

  👉  :  Iqbal Azeem
  Source : Rekhta.org